Browse songs by

shamaa kaa jalanaa hai yaa sozish\-e\-paravaanaa hai - - Saigal

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

shamaa kaa jalanaa hai yaa sozish-e-paravaanaa hai
cha.nd lafzo.n me.n yahii ishq kaa afasaanaa hai

ye junuu.N hai ki yahaa.N tak meraa ba.Dh jaaye junuu.N
ha.Nsake siimaab na ye kah de ki ye diivaanaa hai

dil shikastaa liye baiThaa hai uma.ngo.n kaa hujuum
ek TuuTe hue paimaane me.n maiKaanaa hai

haa.N balaa dil kaa tasallii ke liye hai hasarat
yahii saaGar yahii shiishaa, yahii paimaanaa hai

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image