sawere waali gaa.Dii se chale jaaye.nge
- Movie: Laat Saheb
- Singer(s): Mohammad Rafi, Chorus
- Music Director: Shankar, Jaikishan
- Lyricist: Shailendra Singh
- Actors/Actresses: Nutan, Shammi Kapoor, Rajendra Nath
- Year/Decade: 1967, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
ra: sawere waali gaa.Dii se chale jaaye.nge -4
kuchh le ke jaaye.nge
ho kuchh de ke jaaye.nge
sawere waali gaa.Dii se chale jaaye.nge -2
( ye melaa do gha.Dii kaa do dino.n kii hai bahaar
samay kii bahatii dhaar kahatii jaatii hai pukaar ) -2
pukaar haay haay haay-haay
mahamaan kab ruke hai.n kaise roke jaaye.nge -2
kuchh le ke jaaye.nge
ho kuchh de ke jaaye.nge
sawere waali gaa.Dii sawere waali
ko: sawere waali gaa.Dii se chale jaaye.nge -2
ra: ( milo to milo pyaar se bolo to miiThii baat
hamaare ba.De bhaag huii tumase mulaakaat ) -2
mulaakaat haay haay haay
milegaa kuchh to dil jo yahaa.N kho ke jaaye.nge
kuchh le ke jaaye.nge
ho kuchh de ke jaaye.nge
sawere waali gaa.Dii haa.N sawere waali hoy-hoy
ko: sawere waali gaa.Dii se chale jaaye.nge -2
ra: ( nishaanii koii pyaar kii to chho.D jaaye.nge
kahaanii koii pyaar kii to jo.D jaaye.nge ) -2
to jo.D jaaye.nge haay haay
bane.nge kisii ke kisii ke ho ke jaaye.nge
kuchh le ke jaaye.nge
ho kuchh de ke jaaye.nge
sawere waali gaa.Dii sawere waali
ko: sawere waali gaa.Dii se chale jaaye.nge -2
kuchh le ke jaaye.nge
kuchh de ke jaaye.nge
sawere waali gaa.Dii se chale jaaye.nge
ho sawere waali gaa.Dii se chale jaaye.nge