sataa sataa ke hame.n ashqabaar karatii hai
- Movie: The Finest Ghazals of Mehdi Hassan (Non-Film)
- Singer(s): Mehdi Hasan
- Music Director: Nazar Hussain
- Lyricist: Wafa Roomani
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: 1985, 1980s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
sataa sataa ke hame.n ashqabaar karatii hai
tumhaarii yaad bahut beqaraar karatii hai
wo din jo saath guzaare the pyaar me.n hamane
talaash unako nazar baar baar karatii hai
gilaa nahii.n jo nasiibo.n ne kar diyaa hai judaa
terii judaa_ii bhii ab hamako pyaar karatii hai
kanaare baiTh ke jisake kiye the kaul-o-qaraar
nadii wo ab bhii teraa i.ntazaar karatii hai