Browse songs by

sa.nsaar hai ik nadiyaa, sukh\-dukh do kinaare hai.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

sa.nsaar hai ik nadiyaa, duHkh-sukh do kinaare hai.n
na jaane kahaa.N jaae.n, ham bahate dhaare hai.n

chalate hue jiivan kii, raftaar me.n ik lay hai
ik raag me.n ik sur me.n, sa.Nsaar kii har shay hai
sa.Nsaar kii har shay hai ...
ik taar pe gardish me.n, ye chaa.Nd sitaare hai.n

dharatii pe ambar kii aa.Nkho.n se barasatii hai
ik roz yahii buu.Nde.n, phir baadal banatii hai.n -2
is banane biga.Dane ke dastuur me.n saare hai.n

koii bhii kisii ke li_e, apanaa na paraayaa hai
risshte ke ujaale me.n, har aadamii saayaa hai -2
kudarata ke bhii dekho to, ye khel puraane hai.n

hai kaun vo duniyaa me.n, na paap kiyaa jisane
bin ulajhe kaa.Nto.n se, hai.n phuul chune kisane
hai.n phuul chune kisane ...
be-daag nahii.n koii, yahaa.N paapii saare hai.n

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Date: 01/26/1996
% Credits: Ashok Dhareshwar 
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image