sahamii sahamii aahe.n ... jaane ye mujhako kyaa ho rahaa hai
- Movie: Ek Baar Phir
- Singer(s): Bhupinder
- Music Director: Raghunath Seth
- Lyricist: Vinod Pande
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: 1979, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
sahamii sahamii aahe.n, hai dahashat sii man me.n
jaane ye mujh ko kyaa ho rahaa hai
yaad un kii dil se jaatii nahii.n hai
jaane ye mujhako kyaa ho rahaa hai
viiraanagii hai har suu, har pattaa hil rahaa hai
mere haal-e-dil pe haay! aashiyaanaa ro rahaa hai
yaad un kii dil se ...
vo agar aa bhii paaye.n, ruk paaye.ngii gardishe.n kyaa
jin ki Kaatir meraa ye jahaan miT rahaa hai
yaad un kii dil se ...
jitanii bhii kii hai koshish, mai.n ne bhuulane kii unako
utanaa hii unakaa mujh par nashaa chhaa rahaa hai
yaad un kii dil se ...
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar