Browse songs by

sabhii a.ndaaz\-e\-husn pyaare hai.n - - Talat

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

sabhii a.ndaaz-e-husn pyaare hai.n
ham magar saadagii ke maare hai.n

ai sahaaro.n kii zi.ndagii waalo
kitane i.nsaan besahaare hai.n

wo hamii.n hai.n ke jinake haatho.n ne
gesu-e-zi.ndagii sa.Nwaare hai.n

usakii raato.n kaa i.nteqaam na puuch
jisane ha.Ns-ha.Ns ke din guzaare hai.n

Comments/Credits:

			 % Credits: U V Ravindra
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image