saath ho tum aur raat javaa.N
- Movie: Kaanch Ki Gudiya
- Singer(s): Asha Bhonsle, Mukesh
- Music Director: Suhrid Kar
- Lyricist: Shailendra Singh
- Actors/Actresses: Manoj Kumar, Sayeeda Khan
- Year/Decade: 1961, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

saath ho tum aur raat javaa.N
nii.nd kise ab chain kahaa.N
kuchh to samajh ai bhole sanam
kahatii hai kyaa nazaro.n kii zubaa.N
mahakatii havaa, chhalakatii ghaTaa
hamase ye dil, sambhalataa nahii.n
kii minnate.n, manaakar thake
kare.n kyaa ye ab to, bahalaataa nahii.n
dekh ke tumako, mahakane lagaa
lo bahakane lagaa, hasarato.n kaa jahaa.N
ham is raah pe, mile is tarah
ke ab umr bhar, na ho.nge judaa
mere saaz-e-dil kii aavaaz tum
mai.n kuchh bhii nahii.n tumhaare binaa
aao chale.n ham, jahaa.N pyaar se
vo gale mil rahe, hai.n zamii.n aasmaa.n
Comments/Credits:
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Jan 1996
