Browse songs by

saa.Nchaa naam teraa, tuu shyaam meraa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

aashaa: aa aa aa, huu.N uu.N, aa aa
saa.Nchaa naam teraa
ho, saa.Nchaa naam teraa
tuu shyaam meraa, saa.Nchaa naam teraa, tuu shyaam meraa
sagaraa jagat hai jhuuThaa saathii
TuuTe diipak bujh jaaye baatii
ushaa: har ra.ng me.n tuu sa.ng me.n hai
chaahe saa.Njh ho chaahe saveraa
dono.n: saa.Nchaa naam teraa, tuu shyaam meraa, saa.Nchaa naam teraa

aashaa: mai.n tujh me.n khoii re
uushaa: duujaa na koii re
aashaa: aa, jaagii yaa soii re
tuu ek apanaa jiivan sapanaa
dono.n: sagaraa jagat hai jhuuThaa saathii
TuuTe diipak bujh jaaye baatii
aashaa: mai.n ne bigaa.Daa har kaam apanaa
tuune sa.Nvaaraa har kaam meraa
dono.n: saa.Nchaa naam teraa, tuu shyaam meraa, saa.Nchaa naam teraa

aashaa: duHkh sukh kii dhaaraa
uushaa: tuu hai kinaaraa
aashaa: huu.N manamohan pyaaraa
sab kaa khevaiyaa kR^ishhNa ka.nhaiyaa
dono.n: sagaraa jagat hai jhuuThaa saathii
TuuTe diipak bujh jaaye baatii
aashaa: to.D ke ye man ma.ndir banaa duu.N
ho man ke ma.ndir me.n dhaam teraa
dono.n: saa.Nchaa naam teraa, tuu shyaam meraa, saa.Nchaa naam teraa

Comments/Credits:

			 % Transliterator : Surajit Bose
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image