ruk jaa o jaanevaalii ruk jaa
- Movie: Kanhaiyya
- Singer(s): Mukesh
- Music Director: Shankar, Jaikishan
- Lyricist: Shailendra Singh
- Actors/Actresses: Nutan, Raj Kapoor
- Year/Decade: 1959, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
ruk jaa o jaane vaalii ruk jaa
mai.n to raahii terii ma.nzil kaa
nazaro.n me.n terii mai.n buraa sahii
aadamii buraa nahii.n mai.n dil kaa - (2)
dekhaa hii nahii.n tujhako
suurat bhii na pahachaanii
tuu aake chalii chham se
yuu.N Duubake din paanii - (2)
ruk jaa ...
mud.hdat se mere dil ke
sapano.n kii tuu raanii hai
ab tak na mile lekin
pahachaan puraanii hai - (2)
ruk jaa ...
aa pyaar kii raaho.n me.n
baaho.n kaa sahaaraa le
duniyaa jise gaatii hai
us giit ko doharaa le - (2)
ruk jaa ...
Comments/Credits:
% Credits: Satyan R. Coorg (satyan@au-bon-pain.lcs.mit.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)