Browse songs by

ra.njish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa - Mehdi Hassan

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ra.njish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa

pahale se maraasim naa sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rah-e-duniyaa hii nibhaane ke liye aa

% The following one sher is not by faraaz but by Talib
maanaa ke muhabbat kaa chhupaanaa hai muhabbat
chupake se kisii roz jataane ke liye aa

kuchh to mere pi.ndaar-e-muhabbat kaa bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujhako manaane ke liye aa

% The following one sher is not by faraaz but by Talib
jaise tujhe aate hai.n, na aane ke bahaane
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa

% The following shers were not in the version I heard

ab tak dil-e-Kushafaham ko hai.n tujh se ummiide.n
ye aaKirii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa

ik umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum
ai raahat-e-jaa.N mujhako rulaane ke liye aa

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
% Comments: Pyare Bharatiya bhaiyo tatha beheno (ek ko rahane de...
%     ek ko rahane de).  Mujhe asha hai ki aap ko ye ghazl pasand aayegi.
%     Main sirf itna jaanta hoon ki isse Jagjit Singh aur Lata ji ne
%     solo main gaya hai. Haal hee main ise Anuradha Paudwal ne bhi gaya hai...

% Credits: V S Rawat, Abhay Phadnis, Amit Malhotra
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image