Browse songs by

ra.njish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa - Jagjit Singh

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ra.njish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jAne ke liye aa

kis kis ko bataaye.nge judaa_ii kaa sabab ham
rasm-o-rah-e-duniyaa hii nibhaane ke liye aa aa aa

pahale se maraasim na sahii phir bhI kabhii to
tuu bhii to kabhii mujhako manaane ke liye aa

% The following one sher is not by faraaz but by Talib
jaise tujhe aate hai.n, na aane ke bahaane
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa aa aa

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
% Comments: Pyare Bharatiya bhaiyo tatha beheno (ek ko rahane de...
%     ek ko rahane de).  Mujhe asha hai ki aap ko ye ghazl pasand aayegi.
%     Main sirf itna jaanta hoon ki isse Jagjit Singh aur Lata ji ne
%     solo main gaya hai. Haal hee main ise Anuradha Paudwal ne bhi gaya hai...
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image