rahe.n naa rahe.n ham, mahakaa kare.nge
- Movie: Mamta
- Singer(s): Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar, Suman Kalyanpur
- Music Director: Roshan
- Lyricist: Majrooh Sultanpuri
- Actors/Actresses: Suchitra Sen, Ashok Kumar and Dharmendra
- Year/Decade: 1966, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
rahe.n naa rahe.n ham, mahakaa kare.nge
ban ke kalii, ban ke sabaa, baaGe vafaa me.n ...
mausam koI ho is chaman me.n
ra.ng banake rahe.nge in fizaa me.n
chaahat kii khushabuu, yuu.N hii zulfo.n
se u.Degii, khizaayo.n yaa bahaare.n
yuu.Nhii jhuumate, yuhii.N jhuumate aur
khilate rahe.nge, ban ke kalii ban ke sabaa baaGe.n vafaa me.n
rahe.n naa rahe.n ham ...
khoye ham aise kyaa hai milanaa
kyaa bichha.Danaa nahii.n hai, yaad hamako
gu.nche me.n dil ke jab se aaye
sirf dil kii zamii.n hai, yaad hamako
isii sarazamii.n, isii sarazamii.n pe
ham to rahe.nge, ban ke kalii ban ke sabaa baaGe vafaa me.n
rahe.n naa rahe.n ham ...
jab ham na ho.nge tab hamaarii
khaak pe tum rukoge chalate chalate
ashko.n se bhiigii chaa.ndanii me.n
ik sadaa sii sunoge chalate chalate
vahii.n pe kahii.n, vahii.n pe kahii.n ham
tumase mile.nge, ban ke kalii ban ke sabaa baaGe vafaa me.n ...
rahe.n naa rahe.n ham, mahakaa kare.nge ...
## Duet Version ##
suman:
hai Khuubasuurat ye nazaare
ye bahaare.n hamaare dam-qadam se
rafii:
zi.ndaa huii hai phir jahaa.N me.n
aaj ishq-o-vafaa kii rasm ham se
dono.n:
yuu.Nhii is chaman, yuu.Nhii is chaman kii
ziinat rahe.nge, ban ke kalii ban ke sabaa baaG-e-vafaa me.n
rahe.n naa rahe.n ham ...
Comments/Credits:
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Prashant Kulkarni (praskulk@engin.umich.edu) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % K Rai (rrai@plains.nodak.eduRavi) % Satish Subramanium (subraman@cs.umn.edu) % Surajit Bose % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)