Browse songs by

rahatii nahii.n hameshaa, ye chaa.Nd kii jawaanii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

la: rahatii nahii.n hameshaa, ye chaa.Nd kii jawaanii
jii bhar ke aish kar le

ko: jii bhar ke aish kar le

la: jab tak hai zi.ndagaanii, jab tak ye zi.ndagaanii

ko: aa aa aa

la: guzare jo mastiyo.n me.n achchhii vahii gha.Dii hai
varanaa ajal to kab se piichhe tere kha.Dii hai
ko: aa aa aa
la: jab tak chale chalaa le ye saa.Ns kii kahaanii
jii bhar ke aish kar le

ko: jii bhar ke aish kar le

la: jab tak hai zi.ndagaanii, jab tak ye zi.ndagaanii

ko: aa aa aa

la: ye Kaab hai sunaharaa, ra.Ngiin hai ye dhokaa
mat chho.D zi.ndagii kaa koii hasiin maukaa
aayegaa haath phir naa, bahataa huaa ye paanii
jii bhar ke aish kar le

ko: jii bhar ke aish kar le
la: jab tak hai zi.ndagaanii jab tak ye zi.ndagaanii

ko: aa aa aa

la: rahatii nahii.n hameshaa, ye chaa.Nd kii jawaanii
jii bhar ke aish kar le
ko: jii bhar ke aish kar le
jab tak hai zi.ndagaanii jab tak ye zi.ndagaanii
aa aa aa

Comments/Credits:

			 % Contributor: Satish Kalra
% Transliterator: Satish Kalra
% Date: 16 Dec 2004
% Series: Latanjali
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image