raaz\-e\-dil unase chhupaayaa naa gayaa
- Movie: Apna Banake Dekho
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Ravi
- Lyricist: Asad Bhopali
- Actors/Actresses: Manoj Kumar, Asha Parekh, Achala Sachdev, Sundar, Nazir Husain
- Year/Decade: 1962, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
raaz-e-dil unase chhupaayaa naa gayaa -2
pyaar kii aag kuchh aisii bha.Dakii -2
ek sholaa bhii dabaayaa na gayaa -2
raaz-e-dil unase ...
pahale-pahale to mujhe vo samajh hii na sake
dil ko ta.Dapaate rahe mujhako tarasaate rahe
aa.Nkh se aa.Nkh ka_ii baar milii -2
dil se dil phir bhii milaayaa na gayaa
raaz-e-dil unase ...
mujhako pahachaan ke vo dard-e-dil jaan ke vo
kuchh pareshaan se hai.n kuchh pashemaan se hai.n
itane sharamaa_e hu_e hai.n hamase -2
sar jhukaayaa to uThaayaa na gayaa
raaz-e-dil unase ...
aa.Nkh milate hii jhukii baat ho.nTho.n pe rukii
beruKii pyaar banii jiit bhii haar banii
kar ga_ii kaam mohabbat kii nazar -2
unase daaman bhii bachaayaa na gayaa
raaz-e-dil unase ...