Browse songs by

raat a.ndhiyaarii hai, maat dukhiyaarii hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

raat a.ndhiyaarii hai
raat a.ndhiyaarii hai, maat dukhiyaarii hai
sukh se tuu so mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar
raat a.ndhiyaarii hai

taare hai.n gagan me.n, aa.Nsuu hai.n nayan me.n
ab naa samaaye merii piir, mere man me.n
dharatii bhii roye aur roye aasamaa.N
mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar
raat a.ndhiyaarii hai

sisak rahaa hai praaN, viinaa kaa taar taar
(jahaa.N bhii nayan jaaye a.ndhakaar a.ndhakaar)-2
aa.Nsuuo.n ke motiyo.n kii tuu hai musakaan
mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar
raat a.ndhiyaarii hai

jahaa.N bhii tuu rahe, mere aa.Nsuuo.n kii dhaar rahe
balihaarii jaa_uu.N maan, meraa man praaN kahe
mere pyaare devataa kaa tuu hai varadaan
mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar
raat a.ndhiyaarii hai, maat dukhiyaarii hai
raat a.ndhiyaarii hai

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Srinivas Ganti  
% Date: Feb 11 2002
% Comments: LATAnjali series
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image