raakhii kaa aayaa tyohaar sakhii
- Movie: Rakhi
- Singer(s): Shamshad Begum
- Music Director: Husnlal-Bhagatram
- Lyricist: Sarshar Sailani
- Actors/Actresses: Pran, Ulhas, Kamini Kaushal, Gop, Karan Deewan, Yashodhara Katju
- Year/Decade: 1949, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

raakhii kaa aayaa tyohaar sakhii raakhii kaa aayaa tyohaar
more bhaiyaa jiye.n jale.n ghar me.n diye mai.n usii ke li_e
baa.Ndhuu.N raakhii me.n aashaa ke taar
sakhii raakhii kaa aayaa tyohaar ...
uThe man me.n uma.ng jaise saagar me.n tara.ng
jaise bagiyaa me.n aa_ii bahaar
sakhii raakhii kaa aayaa tyohaar ...
dekhii duniyaa kii riit bahan bhaa_ii kii priit gaa_o Kushii ke giit
more baabul ke ghar kaa si.ngaar sakhii
sakhii raakhii kaa aayaa tyohaar ...
yuu.N baa.Ndhane ko baa.Ndho ko_ii hazaar dhaage
lekin hazaar par hai.n raakhii ke chaar dhaage
chaar dhaago.n me.n ba.Ndhaa hai pyaar
sakhii raakhii kaa aayaa tyohaar ...
