Browse songs by

raahii tuu mat ruk jaanaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

raahii tuu mat ruk jaanaa, tuufA.n se mat ghabaraanaa
kabhii to milegii terii ma.nzil
kahii.n duur gagan kii chhAo.n me.n

maanaa ki gaharii hai dhaaraa
par hai kahii.n to kinaaraa
tuu bhii milaa aashaa ke sur me.n
man kaa ye ekataaraa
kabhii to milegii terii ma.nzil
kahii.n duur gagan kii chhAo.n me.n

sabakaa hai uuparavaalaa
sabako usii ne sambhaalaa
jab bhii ghire Gam kaa a.ndheraa
usane kiyaa ujiyaalaa
kabhii to milegii terii ma.nzil
kahii.n duur gagan kii chhAo.n me.n

raahii tuu mat ruk jaanaa, tuufA.n se mat ghabaraanaa
kabhii to milegii terii ma.nzil
kahii.n duur gagan kii chhAo.n me.n
kahii.n duur kahii.n duur kahii.n duur kahii.n duur

Comments/Credits:

			 % Credits: Preetham (preetham@src.umd.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image