pyaar kii rut dora.ngii saajan
- Movie: Apni Izzat
- Singer(s): Talat Mehmood, Madhubala Jhaveri
- Music Director: Hansraj Behl
- Lyricist: Asad Bhopali
- Actors/Actresses: Motilal, Munavvar Sultana
- Year/Decade: 1952, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
t:
pyaar kii rut dora.ngii saajan
man me.n holii aa.Nkh me.n saavan -2
m:
pyaar kii rut dora.ngii saajan
man me.n holii aa.Nkh me.n saavan -2
m:
pyaar suhaanaa sapanaa bhii hai -2
pyaar kaa naam ta.Dapanaa bhii hai
pyaar hii aahe.n pyaar hii dha.Dakan
man me.n holii aa.Nkh me.n saavan -2
t:
tujhase mile bin chain na paaye.n -2
tuu jo mile to ham kho jaaye.n
jitanaa soche.n utanii hii uljhan
man me.n holii aa.Nkh me.n saavan -2
m:
huuk uThe dil baiThaa jaaye -2
koii na jaane bhaag paraaye
apane hii aa.Nsuu apanaa hii daaman
m,t:
man me.n holii aa.Nkh me.n saavan -2
Comments/Credits:
% Transliterator: Hrishi Dixit % Date: Dec 09 2000 % Comments: Geetanjali series