Browse songs by

paradesiyo.n se naa a.Nkhiyaa.n milaanaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

paradesiyo.n se naa a.Nkhiyaa.n milaanaa
paradesiyo.n ko hai ik din jaanaa

aatii hai jab ye rut mastaanii
banatii hai koii na koI kahaanii
ab ke bas dekhe bane kyaa fasaanaa

sach hii kahaa hai pa.nchhii inako
raat ko Thahare to u.D jaae.n din ko
aaj yahaa.N kal vahaa.N hai Thikaanaa

baago.n me.n jab jab phuul khile.nge
tab tab ye harajaaii mile.nge
guzaregaa kaise patajha.D kaa zamaanaa

ye baabul kaa des chhu.Daae.n
des se ye parades bulaae.n
haay sune.n naa ye koI bahaanaa

hamane yahii ek baar kiyaa thaa
ek paradesii se pyaar kiyaa thaa
aise jalaae dil jaise paravaanaa

pyaar se apane ye nahii.n hote
ye patthar hai.n ye nahii.n rote
inake liye naa aa.Nsuu bahaanaa

naa ye baadal naa ye taare
ye kaagaz ke phuul hai.n saare
in phuulo.n ke baag na lagaanaa

hamane yahii ek baar kiyaa thaa
ek paradesii se pyaar kiyaa thaa
ro ro ke kahataa hai dil ye diivaanaa

Comments/Credits:

			 % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image