o chandaa jaa unase ye kahanaa
- Movie: Sarhad (Pakistani-Film)
- Singer(s): Noorjahan
- Music Director: Khurshid Anwar
- Lyricist: Tanvir Naqvi
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: 1966, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
o cha.ndaa jaa unse ye kahnaa
ke tum bin ba~Naa kaThin hai jiite rahnaa
o cha.ndaa
chalii ga_ii.n sab khushiyaa.N saath tumhaare
ro_e.N merii tanhaa_iyaa.N
Duub gayaa dil bujh ga_e aas ke taare
Dasane lagii.n parChaa_iyaa.N
mere aas paas ma.NDalaa_e.N yaad ke saa_e
mujhe raat raat bhar tum bin nii.nd naa aa_e
cha.ndaa jaa unse ye kahnaa
ke tum bin ba~Naa kaThin hai jiite rahnaa
o cha.ndaa
jaan akelii dard naa ko_ii jaane
apne paraa_e ho ga_e
hame dikhaakar pal bhar Kvaab suhaane
jaane kahaa.N tum kho ga_e
meraa chain Chiin kar aa.Nkh churaane vaale
mujhe ek baar phir aa kar gale lagaale
cha.ndaa jaa unse ye kahnaa
ke tum bin ba~Naa kaThin hai jiite rahnaa
o cha.ndaa
Comments/Credits:
% Sirocco % Contributor: Pulkit Sharma (pulkit_sadabahar@yahoo.com) % Transliterator: Pulkit Sharma (pulkit_sadabahar@yahoo.com) % 9th Nov. 2003 % Series: Noor-E-Taranum