Browse songs by

nigaah\-e\-yaar jise aashanaa\-e\-raaz kare - - Malika Pukhraj

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

nigaah-e-yaar jise aashanaa-e-raaz kare
vo apanii Kuubii-e-qismat pe kyo.n naa naaz kare

dilo.n ko fikar-e-do_aalam se kar diyaa aazaad
tere junuu.N kaa Kudaa silsalaa daraaz kare

Gam-e-jahaa.N se jise ho firaaG kii Kwaahish
vo unake dard-e-muhabbat se saaz-baaz kare

ummiidwaar hai.n har simt aashiqo.n ke groh
terii nigaah ko allaah dilniwaaz kare

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image