Browse songs by

nain tumhaare mazedaar o janaab\-e\-aalii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

mukesh: nain tumhaare mazedaar o janaab-e-aalii - 2
aashaa: hamako tumase hai pyaar o janaab-e-aalii - 2
mukesh: nain tumhaare mazedaar o janaab-e-aalii

pyaar kiyaa tumase kyaa hamane gunaah kiyaa - 2
aap ke ishaaro.n pe khud ko tabaah kiyaa
banate hai.n hamahii gunahagaar o janaab-e-aalii
nain tumhaare mazedaar o janaab-e-aalii
aashaa: hamako tumase hai pyaar o janaab-e-aalii

aap chaahe kuchh ho, nigaaho.n pe chhaa gaye - 2
merii zi.ndagii me.n bahaar banake aa gaye
ham hai.n tumhaare talabagaar o janaab-e-aalii
hamako tumase hai pyaar o janaab-e-aalii
mukesh: nain tumhaare mazedaar o janaab-e-aalii

raah me.n pa.De hai.n, huzuur ke gulaam hai.n - 2
giit mere sun lo vafaa ke payaam hai.n
ham hai.n tumhaare tabedaar o janaab-e-aalii
nain tumhaare mazedaar o janaab-e-aalii
aashaa: hamako tumase hai pyaar o janaab-e-aalii

Comments/Credits:

			 % Credits: Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu)
%          rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image