na_ii ma.nzil na_ii raahe.n nayaa hai maharbaan apanaa
- Movie: Hill Station
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Hemant Kumar
- Music Director: Hemant Kumar
- Lyricist: S H Bihari
- Actors/Actresses: Shyama, Pradeep Kumar, Beena Roy, K N Singh
- Year/Decade: 1957, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
na_ii ma.nzil na_ii raahe.n nayaa hai maharbaa.n apanaa
na jaane jaake Thaharegaa kahaa.N yah kaarvaa.n apanaa
na chamakegii jahaa.N bijalii na aayegaa jahaa.N tuufaa.n
banaae.nge usii Daalii pe jaake aashiyaa.n apanaa
bharosaa hai muqaddar par tumhaaraa bhii sahaaraa hai
kahii.n dushman na ban jaa_e yah zaalim aasmaa.n apanaa
dikhaae.nge hame.n yah chaa.Nd taare raah ma.nzil kii
banate ho agar dushman to ho saaraa jahaa.N apanaa
Comments/Credits:
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Mon Aug 21, 1995 % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@connectinc.com) % daw601@anu.edu.au (David Windsor) % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)