Browse songs by

nahii.n ##fax## nahii.n ##xerox## ... mai.n to mere paapaa kii ##carbon copy##

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

%Part 1:

maa.N ne mujhe samajhaayaa thaa ##photo## tumhaaraa dikhalaayaa thaa
jaanaa mai.nne jaanaa tumako pahachaanaa
tumase meraa rishtaa jaane kitanaa hai puraanaa
nahii ##fax## nahii.n ##xerox## naa hii ##telex## yaa ##computer## kii ##floppy##
mai.n to mere paapaa kii kaarban kaa.cpii
nahii faiks ...

nahalaa ho tum to mai.n dahalaa huu.N
mauqaa hai sa.mbhal jaa_o kahataa huu.N
rishte kii lihaaz mai.n karataa huu.N
aisaa naa samajhanaa ke Darataa huu.N
jaa_egii baat ab korT me.n
taulo na tum mujhe noT me.n
samajho paapaa pyaare mere ye ishaare
varanaa dikhaa_uu.Ngaa mai.n din me.n tumako taare
nahii faiks ...

zid pe jo mai.n a.D jaa_uu.Ngaa
nii.ndo.n ko haraam kar jaa_uu.Ngaa
duniyaa me.n bai.nD mai.n bajaa_uu.ngaa
tuu hai meraa baap ye bataa_uu.Ngaa
hai kaa.Nch kaa ye teraa mahal
patthar naa lag jaa_e ab tuu sa.mbhal
aa.Nkho.n se mai.n kaajal churaa ke le jaa_uu.Ngaa
tum jo naa maane to jiinaa mushkil kar jaa_uu.Ngaa
nahii faiks ...

%Part 2:

maa.N ne mujhe samajhaayaa thaa foTo tumhaaraa dikhalaayaa thaa
jaanaa maine jaanaa tumako pahachaanaa
tumase meraa rishtaa jaane kitanaa hai puraanaa
nahii faiks nahii.n zeroks naa hii Teleks yaa kampyuuTar kii flaa.cpii
mai.n to mere paapaa kii kaarban kaa.cpii
nahii faiks ...

chho.D ke des chale aa_e ho
ye hai parades tum paraa_e ho
uupar se naqaab ye cha.Dhaa_e ho
a.ndar se ba.De hii ghabaraa_e ho
##indian## hai.n ham nahii.n bhuulanaa
lauT chalo hai kyaa sochanaa
cheharaa tumhaaraa saaf kah rahaa hai
jhuuThii ye ha.Nsii hai dekho dil ro rahaa hai
nahii faiks ...

ho ek pahelii ban gayaa huu.N mai.n
sulajhegii ye kaise Dar gayaa huu.N mai.n
?? tuu aayaa hai
beTe meraa dil bhar aayaa hai
?? mai.n nahii.n majabuur huu.N buraa mai.n nahii.n
mujhako maafii de de beTaa hai tuu meraa
lag jaa gale se aakhir saayaa hai tuu meraa
nahii faiks ...

tuu hai tere paapaa kii kaarban kaa.cpii kaarban kaa.cpii
nahii faiks ...

%Part 3:

jiivan to ye aanaa jaanaa hai
Gam aur khushii kaa taraanaa hai
aur mujhe karz ye chukaanaa hai
pitaa huu.N mai.n farz ye nibhaanaa hai
shaayad mai.n kal rahuu.Ngaa nahii.n
tumako bhii ta.ng karuu.Ngaa nahii.n
meraa aur tumhaaraa aisaa hai ye naataa
ba.ndhan hai lahuu kaa ye bhulaayaa nahii.n jaataa

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image