Browse songs by

naa kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

naa kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N
naa kisii ke dil kaa qaraar huu.N
jo kisii ke kaam naa aa sake
mai.n vo ek musht-e-gubaar huu.N
naa kisii kii aa.Nkh kaa ...

meraa ra.ng ruup biga.D gayaa
meraa yaar mujhase bichha.D gayaa
jo chaman Kizaa.n me.n uja.D gayaa
mai.n usii kii fasl-e-bahaar huu.N
naa kisii kii aa.Nkh kaa ...

mai.n kahaa.N rahuu.N mai.n kahaa.N basuu.N
naa ye mujhase Kush naa vo mujhase Kush
mai.n zamii.n kii piiTh kaa bojh huu.N
mai.n falaq ke dil kaa Gubaar huu.N
naa kisii kii aa.Nkh kaa ...

pa-e-faatehaa ko_ii aa_e kyuu.N
ko_ii chaar phuul cha.Dhaa_e kyuu.N
ko_ii aake shammaa jalaa_e kyuu.N
mai.n vo beqasii kaa mazaar huu.N
naa kisii kii aa.Nkh kaa ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image