Browse songs by

naa jaane chaa.Nd kaisaa hogaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

kamal: naa jaane chaa.Nd kaisaa hogaa
mukesh: tum saa hasii.n to nahii.n
kamal: ho.nge ra.ngiin ye sitaare
mukesh: tum se ra.ngii.n to nahii.n

kamal: aate hai.n niile aasamaa.N pe, jaane kidhar se sitaare
mukesh: chalataa hai saaraa hii zamaanaa terii nazar ke sahaare
kamal: dil chaahe aasamaa.N ko chhuu luu.N
mukesh: le chal hame.n bhii vahii.n
kamal: naa jaane chaa.Nd ...

mukesh: chhaaye hai.n kaale kaale baadal yaa tum ne zulfe.n bakherii
kamal: kho jaauu.N jaa ke baadalo.n me.n kab se tamannaa hai merii
mukesh: jaane do Kvaab kii ye baate.n
kamal: ham ko hai in pe yakii.n
kamal: naa jaane chaa.Nd ...

kamal: saare zamaane se niraalii ham ko_ii duniyaa basaaye.n
mukesh: dil ke ra.ngiile sapano.n se mahafil ra.ngiilii sajaaye.n
kamal: aisaa jahaan hai kahaa.N pe
mukesh: hogaa kahii.n naa kahii.n
kamal: naa jaane chaa.Nd ...
mukesh: tum saa hasii.n to nahii.n

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Nimish Pachapurkar
% Date: Dec 9, 2002
% Series: GEETanjali
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image