Browse songs by

mujhe tum nazar se giraa to rahe ho

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

mujhe tum nazar se giraa to rahe ho
mujhe tum kabhii bhii bhulaa naa sakoge
naa jaane mujhe kyo.n yaqii.n ho chalaaa hai
mere pyaar ko tum miTaaa naa sakoge

merii yaad hogii, jidhar jaaoge tum,
kabhii naGamaa ban ke, kabhii ban ke aa.Nsuu
ta.Dapataa mujhe har taraf paaoge tum
shamaa jo jalaayii merii vafaa ne
bujhaanaa bhii chaaho, bujhaaa naa sakoge

kabhii naam baato.n me.n aayaa jo meraa
to bechain ho-ho ke dil thaam loge
nigaaho.n pe chhaayegaa Gam kaa a.ndheraa
kisii ne jo puuchhaa, sabab aa.Nsuo.n kaa
bataanaa bhii chaaho, bataa naa sakoge

mere dil kii dha.Dkan banii haii jo sholaa
sulagate hai.n aramaa.N, yuu.N ban-ban ke aa.Nsuu
kabhii to tumhe.n bhii ye ahasaas hogaa
magar ham naa ho.nge, terii zindagii me.n
bulaanaa bhii chaaho, bulaa naa sakoge

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
% Comments : The third stanza is not in the original film version. It has
%            been written by Mehdi Hasan's son, Qamaran Hasan.
%            This song is from a Pakistani Film.
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image