mujhe na sapano.n se bahalaa_o - - Jagmohan
- Movie: non-Film
- Singer(s): Jagmohan
- Music Director:
- Lyricist:
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: unknown
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
mujhe na sapano.n se bahalaa_o
( duurii kaa dukh dil pe sahuu.N mai.n
rah ke paas bhii duur rahuu.N mai.n ) -2
chhuunaa chaahuu.N chhuu na sakuu.N mai.n -2
kaun ye riit bataa_o
hai kaun ye riit bataa_o
mujhe na sapano.n se bahalaa_o
( ga.ngaa se tum aavo nahaa ke
kesh sukhaa_o baa.Nh phailaa kar ) -2
mere tamannaa_o.n par chhaa kar -2
kaahe phir chhup jaa_o
tum kaahe phir chhup jaa_o
mujhe na sapano.n se bahalaa_o
( roz mere sapane me.n aanaa
nit nit ruup nayaa dikhalaanaa ) -2
roz chhu.Daa kar aa.Nchal jaanaa -2
aisaa zulm na Dhaa_o
tum aisaa zulm na Dhaa_o
mujhe na sapano.n se bahalaa_o -2