Browse songs by

mubaarak ho sab ko samaa ye suhaanaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

mubaarak ho sab ko samaa ye suhaanaa
mai.n khush huu.N mere aa.Nsuo.n pe na jaanaa
mai.n to diivaanaa diivaanaa diivaanaa - 2

hazaaro.n tarah ke ye hote hai.n aa.Nsuu
agar dil me.n Gam ho to rote hai.n aa.Nsuu
khushii me.n bhii aa.Nkhe.n bhigote hai.n aa.Nsuu
inhe.n jaan sakataa nahii.n ye zamaanaa
mai.n khush huu.N mere aa.Nsuo.n pe na jaanaa
mai.n to diivaanaa diivaanaa diivaanaa - 2

ye shahanaaiyaa.N de rahii hai.n duhaaI
koii chiiz apanii huii hai paraaI
kisii se milan hai kisii se judaaii
nae rishto.n ne to.Daa naataa puraanaa
mai.n khush huu.N mere aa.Nsuo.n pe na jaanaa
mai.n to diivaanaa diivaanaa diivaanaa - 2

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image