morii chham\-chham baaje paayaliyaa
- Movie: Ghunghat
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Ravi
- Lyricist: Shakeel Badayuni
- Actors/Actresses: Pradeep Kumar, Asha Parekh, Bharat Bhushan, Beena Roy
- Year/Decade: 1960, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
morii chham-chham baaje paayaliyaa -2
aaj mile hai.n more saa.Nvariyaa -2
morii chham-chham ...
( ba.Dii muddat me.n dil ke sahaare mile
aaj Duube hu_o.n ko kinaare mile ) -2
kabhii muskraa_e man kabhii sharamaa_e man
kabhii naino.n kii chhalake gaagariyaa
morii chham-chham ...
( chaa.Nd-taaro.n ke gahane pahanaa do mujhe
ko_ii aa ke dulhaniyaa banaa do mujhe ) -2
nahii.n bas me.n jiyaa kaisaa jaaduu kiyaa
piyaa aaj hu_ii re mai.n to baavariyaa
morii chham-chham ...