Browse songs by

mizaaj\-e\-garaamii duaa hai aapakii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ra: m hmm
la: m hmm
ra: m hmm
la: m hmm
ra: o oho ho ...

ra: mizaaj-e-garaamii, la: duaa hai aapakii (2)
ra: ba.Dii Kuubasuurat adaa hai aapakii
la: ba.Dii Kuubasuurat nigaah hai aapakii
la: mizaaj-e-garaamii, la: duaa hai aapakii (2)

ra: khoyaa khoyaa-sa kuchh gumasum,
mai.n aajakal rahataa huu.N har mahafil me.n (2)
koii dawaa to batalaa_o ke dard rahataa hai
zaraa-saa dil me.n
la: yahii dard-e-dil to davaa hai aapakii (2)
la: mizaaj-e-garaamii, ra: duaa hai aapakii (2)

la: marzii hai aaj kyaa fizaa kii,
jo aaj meraa dil yuu.N hii dha.Dakaa rahii hai (2)
kyaa ho gayaa hai is havaa ko
jo aise merii zulfo.n ko bikharaa rahii hai
ra: kare kyaa ke aashiq havaa hai aapakii (2)
ra: mizaaj-e-garaamii, la: duaa hai aapakii (2)

ra: aaye na nii.nd muhabbat me.n,
to raat suhaanii koii kaise guzaare (2)
sotaa hai chain se zamaanaa
guzaarataa huu.N mai.n raat gin-ginake taare
la: Kataa hai yeh kisakii? Kataa hai aapakii! (2)
la: mizaaj-e-garaamii, ra: duaa hai aapakii (2)
ra: ba.Dii Kuubasuurat adaa hai aapakii
la: ba.Dii Kuubasuurat nigaah hai aapakii
ra: mizaaj-e-garaamii, la: duaa hai aapakii (2)

Comments/Credits:

			 % Transliterator: U.V. Ravindra
% Comments: GEETanjali Series; March 09, 2001
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image