Browse songs by

merii aa.Nkhe.n banii.n diwaanii - - Jagmohan

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

merii aa.Nkhe.n banii.n diwaanii -2
pahale laa_ii.n aag hriday me.n -2
phir bhar laa_ii.n paanii
merii aa.Nkhe.n banii.n diwaanii

( man kaa saathii sab kuchh le kar
bichha.D gayaa bichha.D gayaa bichha.D gayaa hai dard ko de kar ) -2
nii.nd ke badale yaad hai aatii
nii.nd ke badale yaad hai aatii bhuulii hu_ii kahaanii
merii aa.Nkhe.n banii.n diwaanii

( apane ko kho kar kyaa paayaa
dukh ko apanaa mitr banaayaa ) -2
is par bhii na bhulaa sakaa is dil se yaad puraanii
aa.Nkhe.n
merii aa.Nkhe.n banii.n diwaanii

( jis mahafil me.n thaa ek melaa
us me.n aaKir rahaa akelaa ) -2
marate dam tak suune pan kii
marate dam tak suune pan kii karuu.Ngaa mai.n mahamaanii

merii aa.Nkhe.n banii.n diwaanii -2

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image