Browse songs by

mere man kaa mausam badalane lagaa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

mere man kaa mausam badalane lagaa hai
tere naam se dil dha.Dakane lagaa hai
teraa pyaar siine me.n palane lagaa hai
mere man kaa mausam ...

nazar se nazar ne kahii vo kahaanii
jo ham tum kabhii kah naa paa_e jubaanii
ham ek duuje me.n aise kho_e hu_e hai.n
na jaage hu_e hai.n na so_e hu_e hai.n
ye jaaduu na jaane kyaa chalane lagaa hai
mere man kaa mausam ...

jahaa.n tak nazar jaa_e bas tuu hii tuu hai
tujhe paa ke ab kuchh nahii.n aarazuu hai
chale hai.n kadam ma.nzilo.n se bhii aage
kahaa.n khii.nch laa_e mohabbat ke dhaage
ye kis ra.ng me.n ishq Dhalane lagaa hai
mere man kaa mausam ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image