mere dost kissa ye kyaa ho gayaa
- Movie: Dostana
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Laxmikant, Pyarelal
- Lyricist: Anand Bakshi
- Actors/Actresses: Shatrughan Sinha, Amitabh Bachchan, Zeenat Aman
- Year/Decade: 1980, 1980s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
mere dost kissaa ye kyaa ho gayaa
sunaa hai ke tuu bewafaa ho gayaa
duvaa bad-duvaa de ye mumakin nahii.n
mujhe tuu dagaa de ye mumakin nahii.n
Kudaa jaane kyaa maajaraa ho gayaa
sunaa hai ke tuu bewafaa ho gayaa ...
agar maa.ng le tuu o jaan-e-jigar
tujhe jaan de duu mai.n ye jaan kar
ke haq dostii kaa adaa ho gayaa
sunaa hai ke tuu bewafaa ho gayaa ...
qayaamat se kam yaar ye Gam nahii.n
ke tuu aur mai.n rah ga_e ham nahii.n
meraa yaar mujh se judaa ho gayaa
sunaa ke tuu bewafaa ho gayaa ...
Comments/Credits:
%Transliterator: Prithviraj Dasgupta %Date: Nov 16, 2001 %Comment: Availability on HMV CD (soundtrack): % 1. Roti/Dostana 2. Yaarana/Dostana 3. Dostana/Desh Premee