mai.n to janam janam kii pyaasii
- Movie: Kavi Kalidas
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: S N Tripathi
- Lyricist: Bharat Vyas
- Actors/Actresses: Nirupa Roy, Bharat Bhushan, Anita Guha
- Year/Decade: 1959, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
mai.n to janam janam kii pyaasii
mujhe apanii banaa lo daasii
mai.n to janam janam kii ...
mere ho.nTho pe guu.Nje teraa giit re
merii paayal me.n teraa sa.ngiit re
tere hii kaaraN banii bairaagan
o mere man ke baasii
mai.n to janam janam kii ...
merii naiyaa khivayyaa bin jaa rahii
merii yuu.N hii umar biitii jaa rahii
tuu jo mile to man me.n khile re
priit kii puuran maasii
mai.n to janam janam kii ...
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar