mahakaa\-mahakaa ruup tumhaaraa
- Movie: Ganwaar
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Naushad
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses: Rajendra Kumar, Vyjayantimala
- Year/Decade: 1970, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
mahakaa-mahakaa ruup tumhaaraa bahakii-bahakii chaal
ai phuulo.n kii Daal ye raahii puuchhe ek savaal
tumhaaraa naam kyaa hai -2
ho.nTh ye gulaabii aa.Nkh ye sharaabii
bahake na piike raat ko to raat kyaa hu_ii -2
mahakaa-mahakaa ruup ...
jo dekh le to kaise bhuule naa raastaa
jaan lene vaalii ye saadagii tumhaarii
do roz aur jiine do Kudaa kaa vaastaa
mahakaa-mahakaa ruup ...
bolatii nigaahe.n ye bolatii adaa_e.N
hai chaal mastaanii ye jhuumatii javaanii
ki dekhate hii dekhate dil kaa qaraar kho gayaa -2
ho mahakaa-mahakaa ruup ...
aa.Nkh naa churaa_o zaraa saa ruk jaa_o
do pyaar bhare bol to huzuur bol do
tan jal rahaa hai ye badan jal rahaa hai
ghaTaa_o.n jaise kaale-kaale baal khol do -2
ho mahakaa-mahakaa ruup ...