mahafil me.n aa gaye hai.n ... muhabbat bharaa koii paiGaam de
- Movie: Hamrahi
- Singer(s): Chorus, Mahendra Kapoor, Manna De, Usha Timothy
- Music Director: Kalyanji, Anandji
- Lyricist: Shakila Banu Bhopali
- Actors/Actresses: Tanuja, Randhir Kapoor
- Year/Decade: 1974, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
aa... aa mahafil me.n aa gaye hai.n yaanii ke
mushkil me.n aa gaye hai.n
are, mahafil me.n aa gaye hai.n mauqaa hai ye Kushii kaa
ham sabakaa jaam bhar de, mausam hai maikashii kaa
par Kataraa hai zi.ndagii kaa
kyaa haal hogaa jaane ab apanii ##family## kaa
muhabbat bharaa koii paiGaam de yaa ashko.n me.n Duubii huii shaam de
hame.n dard de yaa aaraam de
ab ye chho.D diyaa hai tujhape chaahe zahar de yaa jaam de
tuu jo chaahe mere giito.n ko tabassum de de
merii aa.Nkho.n ko chamak lab tabassum de de
aa shab-e-vasl haTaakar ke shab-e-Gam mujhako de de
tere kabze me.n hai jannat ke jahannum de de
sazaa hame.n yaa, iimaan de
ab ye chho.D diyaa hai tujhape chaahe zahar de yaa jaam de
dil lubhaane ke liye koii chhamaachham de de
chhananananan chham chhanan chham chhanan chham de de
baat ban jaae haay haay agar chaa.Nd sii begam de de
ho gayaa hai terii jannat kaa ##house-full##
to kisii huur ke pahaluu me.n jahannum de de
yaa bekaar rakh yaa koii kaam de
ab ye chho.D diyaa hai tujhape chaahe zahar de yaa jaam de
merii aa.Nkho.n kaa aisaa jaaduu hai ki luTere bhii luT jaate hai.n
aa.Nkh kyaa shay hai aur jaaduu puuchh ke maa.N se apanii aate hai.n
kaaTate hai.n pahaa.D shiishe se aise hotaa hai aashiqo.n kaa jigar
dekh lo ek nazar TuuTii jaatii hai kamar
tum dekho Gair nahii.n jaan kii Kair nahii.n
merii zulf hai ghaTaa taar ba.nduuk haTaa
terii zulfo.n kii qasam terii muuchho.n kii qasam
tere ho.nTho.n kii qasam tere noTo.n kii qasam
saa re saa re gaa maa paa dhaa
paa dhaa nii saa -3
mai.n kahaa.N pha.Nsaa -4
aa aa gaa maa paa dhaa saa nii
mujhe yaad aaii naanii -2
are paa -3
gaa maa mar gaye ham
nii nii saa re praaN bachaa re nii nii saa re saa re
kR^ishhNa hamaare praaN bachaa re saa re gaa maa gaa re saa
hare kR^ishhNa hare raamaa raam saa re saa re gaa maa gaa re saa
hare kR^ishhNa hare raam raam raam
Comments/Credits:
% Transliterator: Rajiv Shridhar% Date: 05/31/1996