Browse songs by

maanaa mere hasii.n sanam, tuu rashq\-e\-maahataab hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

maanaa mere hasii.n sanam, tuu rashq-e-maahataab hai
par tuu hai laajavaab to, meraa kahaa.N javaab hai

hairat se yuu.N na dekhiye, zarraa huaa to kyaa huaa -2
zarraa huaa to kyaa huaa
apanii jagah pe jaan-e-man, zarraa bhii aafataab hai

tere shabaab kaa suruur chhaayaa jo do jahaa.N par -2
chhaayaa jo do jahaa.N par
merii nigaah-e-shauq se aayaa vo inaqalaab hai

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Thu Jan 18, 1996
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@connectinc.com)
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image