Browse songs by

laharaa ke jhuum\-jhuum ke laa muskuraa ke laa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

laharaa ke jhuum-jhuum ke laa muskuraa ke laa
phuulo.n ke ras me.n chaa.Nd kii kirane milaa ke laa

mahasuus ho rahaa hai sitaare ajiil hai.n
unako bhii ek ghuu.NT kahii.n se pilaa ke laa

kahate hai.n umr-e-raftaa kabhii lauTatii nahii.n
jaa mayakade se merii jawaanii uThaa ke laa

Comments/Credits:

			 % Audio on: Magnasound. Cassette No. CI-Z1100
% A Tribute to her whose soul departed today Feb 04, 2004
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image