Browse songs by

laharaa ke aayaa hai jho.Nkaa bahaar kaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

la: laharaa ke aayaa hai jho.Nkaa bahaar kaa
mausam hai pyaar kaa, aa bhi jaa
ra: ham to kab se kha.De dilarubaa
sun rahe tere dil kii sadaa
is kadar beKudii yaa Kudaa
la: huu.N, laharaa ke ...

lata: ( nayii-nayii pahachaan ho gayii
pyaar kii raah aasaan ho gayii ) -2
khul gayaa pyaar kaa raastaa
hamasafar ek mujhe mil gayaa
miT gayaa pyaar kaa faasalaa
huu.N, laharaa ke ...

ra: ( jahaa.N-jahaa.N dekhuu.N mai.n tuu hai
koii tamannaa koii aarazuu hai ) -2
mai.nne maa.Ngii thii ek din duaa
us duaa me.n asar mil gayaa
ab qismat se maa.Ngu.N mai.n aur kyaa
huu.N, laharaa ke ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: V S Rawat
% Date: 17 Nov 2004
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image