Browse songs by

laal chha.Dii maidaan kha.Dii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

laal chha.Dii maidaan kha.Dii, kyaa khuub la.Dii, kyaa khuub la.Dii
ham dil se gae, ham jaa.N se gae
bas aa.Nkh milii aur baat ba.Dhii

(vo tiikhe tiikhe do nainaa, us shok se aa.Nkh milaanaa thaa
dede ke qayaamat ko daavat, ek aafat se Takaraanaa thaa ) -2
mat puuchho ham par kyaa guzarii,
bijalii sii girii aur dil pe pa.Dii
ham dil se gae, haay, ham jaa.N se gae ...

(tan tanakar zaalim ne apanaa, har tiir nishaane par maaraa
(hai shukr kii ab tak zi.ndaa huu.N,
mai.n dil kaa ghaayal bechaaraa ) -2
use dekhake laal dupaTTe me.n,
maine naam diyaa hai laal chha.Dii
ham dil se gae, haay, ham jaa.N se gae ...

(ham ko bhii naa jaane kyaa suujhii,
jaa pahu.nche usakii Tolii me.n
(har baat me.n usakii thaa vo asar,
jo nahii.n ba.nduuk kii golii me.n ) -2
ab kyaa hogaa, ab kyaa kiije,
har ek gha.Dii mushkil kii gha.Dii
ham dil se gae, haay, ham jaa.N se gae ...

Comments/Credits:

			 % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image