kyaa bataa_uu.N mohabbat hai kyaa
- Movie: Parbat
- Singer(s): Geeta Dutt, Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
- Music Director: Shankar, Jaikishan
- Lyricist: Shailendra Singh
- Actors/Actresses: Premnath, Ulhas, Nutan, Poornima
- Year/Decade: 1952, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

la : kyaa bataa_uu.N mohabbat hai kyaa -4
siine me.n rah-rah ke dard uTh rahaa hai -2
magar aa rahaa hai mazaa
kyaa bataa_uu.N ...
mausam to haradam badalate rahe hai.n -2
aramaan dil ke machalate rahe hai.n -2
kyaa baat hai chhuu ke aa.Nchal meraa -2
bhaag jaatii hai paagal havaa
kyaa bataa_uu.N ...
ra : kyaa bataa_uu.N mohabbat hai kyaa -2
pahale bhii tuufaan aate rahe hai.n
bastii dilo.n kii miTaate rahe hai.n-2
kaisaa ye tuufaan aate hii jisake -2
nayaa ik jahaa.N bas gayaa
kyaa bataa_uu.N ...
la : kyaa bataa_uu.N ...
pahale bhii the chaa.Nd-taare gagan me.n -2
lekin hameshaa a.Ndheraa thaa man me.n -2
vo muskaraa_e to man ke a.Ndhere me.n -2
jaise diyaa jal uThaa
kyaa bataa_uu.N ...
Comments/Credits:
% Credits: Ashok Dhareshwar
