Browse songs by

koii iqaraar kare ... mai.n tumhii se puuchhatii huu.N

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

##prelude:##

lataa:
koii iqaraar kare, yaakoii inakaar kare
ham se ek baar, nigaahe.n to zaraa chaar kare
rafii:
tum hasii.n ho tumhe.n sab dil me.n jagah dete hai.n
ham me.n kyaa baat hai, aisii jo koii pyaar kare

lataa:
(mai.n tumhii se puuchhatii huu.N, mujhe tum se pyaar kyo.n hai
kabhii tum daGaa na doge, mujhe aitabaar kyo.n hai) -2
mai.n tumhii se puuchhatii huu.N

mujhe kyo.n pukaaratii hai.n, ye javaa.n javaa.n fizaae.n
mujhe mil ga_ii kahaa.N se, ye hasii.n hasii.n adaae.n
ye hasii.n hasii.n adaae.n
mere zi.ndagii pe chhaaii, ye na_ii bahaar kyo.n hai
mai.n tumhii se puuchhatii huu.N, mujhe tum se pyaar kyo.n hai
kabhii tum daGaa na doge, mujhe aitabaar kyo.n hai
mai.n tumhii se puuchhatii huu.N

jo qadam uThaa rahii huu.N, vo qadam bahak rahaa hai
mile tum se kyaa nigaahe.n, meraa dil dha.Dak rahaa hai
meraa dil dha.Dak rahaa hai
mere dil pe haath rakh do, tumhe i.ntazaar kyo.n hai
mai.n tumhii se puuchhatii huu.N, mujhe tum se pyaar kyo.n hai
kabhii tum daGaa na doge, mujhe aitabaar kyo.n hai
mai.n tumhii se puuchhatii huu.N

tumhii.n saamane ho mere, mai.n jidhar nazar uThaauu.N
tumhe.n bhuulanaa bhii chaahuu.N, to kabhii na bhuul paauu.N
to kabhii na bhuul paauu.N
mere dil pe haay itanaa tumhe iKtiyaar kyo.n hai
mai.n tumhii se puuchhatii huu.N, mujhe tum se pyaar kyo.n hai
kabhii tum daGaa na doge, mujhe aitabaar kyo.n hai
mai.n tumhii se puuchhatii huu.N

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Fri Jan 19 1996
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image