kitanii anjaanii suurate.n lekar ... jaane kahaa.N dekhaa hai
- Movie: Biwi Aur Makan
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Hemant Kumar
- Lyricist: Gulzar
- Actors/Actresses: Mehmood, Shabnam, Ashish Kumar, Biswajeet, Kalpana, Padma Devi
- Year/Decade: 1966, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
kitanii anjaanii suurate.n lekar lab pe jaane se naam aate hai.n
kisako maaluum thaa mohabbat me.n aise maqaam aate hai.n
jaane kahaa.N dekhaa hai kahaa.N dekhaa hai tumhe.n
jaagii-jaagii aa.Nkho.n ke sapano.n me.n
jaane kahaa.N dekhaa ...
jamanaa kinaare kabhii bhiigii-bhiigii cholii me.n
saa.Nvare ke sa.ng kabhii gopiyo.n kii Tolii me.n
kahaa.N kahaa.N puuchhaa hai kahaa.N-kahaa.N Dhuu.NDhaa hai
jaane kahaa.N dekhaa ...
raavii ke kinaare jahaa.N hiir kii saheliyaa.N
puuchhatii hai.n roz vahii pyaar kii paheliyaa.N
jaane kahaa.N dekhaa ...
niil ke kinaare kabhii shaam ke ujaale me.n
zulekhaa pukaaraa hai tumako Kyaalo.n me.n
jaane kahaa.N dekhaa ...