kisii suurat lagii dil kii bahal jaaye to achchhaa ho
- Movie: Naubahaar
- Singer(s): Talat Mehmood
- Music Director: Roshan
- Lyricist: Satyendra Athaiya
- Actors/Actresses: Nalini Jaywant, Ashok Kumar
- Year/Decade: 1952, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
kisii suurat lagii dil kii bahal jaaye to achchhaa ho
tamannaa ek naye saa.Nche me.n Dhal jaaye to achchhaa ho
mere dil kii nazar ko Thokare khaanaa nahii.n aataa
a.ndhere ba.Dh rahe hai.n shamaa jal jaaye to achchhaa ho
kisii suurat lagii dil kii bahal jaaye to achchhaa ho
kahaa.N tak hai.n kinaare hosh ke ham bhii zaraa dekhe.n
ham bhii zaraa dekhe.n
sama.ndar aarazu_o.n kaa machal jaaye to achchhaa ho
tamannaa ek naye saa.Nche me.n Dhal jaaye to achchhaa ho
kisii suurat lagii dil kii bahal jaaye to achchhaa ho
tuu is miTTii ke but ko dha.Dakane de de mohabbat kii
merii duniyaa na_ii karavaT badal jaaye to achchhaa ho
kisii suurat lagii dil kii bahal jaaye to achchhaa ho