kisako sunaaye.n ... hamako tumhaaraa hii aasaraa
- Movie: Saajan
- Singer(s): Mohammad Rafi, Lalita Dewoolkar
- Music Director: C Ramchandra
- Lyricist: Moti
- Actors/Actresses: Ashok Kumar, Rehana, Ranjeet Kumari
- Year/Decade: 1947, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
kisako sunaaye.n haal-e-dil
kisako dikhaaye.n dard-e-dil
tumako hii bas pahahaanatii
tum hamaare ho na ho
hamako tumhaaraa hii aasaraa
tum hamaare ho na ho
lab pe tumhaaraa hii naam hai
tum hamaare ho na ho
hamako tumhaaraa hii aasaraa
saazo.n me.n jab tak aavaaz hai
ham teraa hii giit gaaye.nge
ham terii priit nibhaaye.nge
tere hii dam se jii rahe
tum hamaare ho na ho
lab pe tumhaaraa hii naam hai
tum hamaare ho na ho
hamako tumhaaraa hii aasaraa
bolo mujhe tum javaab do
tumase hii meraa savaal hai
tere liye beqaraar jo
us se hii tuune ye kyaa kiyaa
qadamo.n pe tere hai.n mar rahe.n
tum hamaare ho na ho
lab pe tumhaaraa hii naam hai
tum hamaare ho na ho
hamako tumhaaraa hii aasaraa
% Rafi solo version
hamako tumhaaraa hii aasaraa
tum hamaare ho na ho
lab pe tumhaaraa hii naam hai
tum hamaare ho na ho
hamako tumhaaraa hii aasaraa
aa.nkho.n me.n kuchh muskuraa diyaa
ho.nTho.n ko bhii kuchh dabaa diyaa
mai.n ne jo puuchha savaal to
palako.n ko niiche jhukaa diyaa
duniyaa hii merii badal ga_ii
tum hamaare ho na ho
Dha.Dakan me.n tum ho basii huii
ta.Dpan me.n tum ho basii huii
lekin ham tum na mil sake
kaisii ye bebasii huii
aa.Nkho.n me.n jalataa charaaG hai
tum hamaare ho na ho ...
daulat nahii.n mujh ko chaahiye
aish aur isharat na chaahiye
dono.n jahaa.N ke muqaabale
terii muhabbat hii chaahiye
ham to tumahare hai.n ho chuke
tum hamaare ho na ho
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: Urzung Khan