Browse songs by

kaun des hai jaanaa baabuu

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

( kaun des hai jaanaa
baabuu kaun des hai jaanaa ) -2
kha.De-kha.De kyaa soch rahaa hai -2
hu_aa kahaa.N se aanaa
kaun des hai jaanaa
baabuu kaun des hai jaanaa
kaun des hai jaanaa
baabuu

suuraj Duubaa chaa.Nd na nikalaa
( suuraj Duubaa chaa.Nd na nikalaa
biitaa samaa.N suhaanaa ) -2
raah andherii baaT na chhuuTe
samajh ke qadam uThaanaa
( kaun des hai jaanaa
baabuu kaun des hai jaanaa ) -2

saathii aawan-jaawan yahii sunaatii gaanaa -2
jiite-jii hai chalanaa phiranaa -2
mare to ek Thikaanaa -2
( kaun des hai jaanaa
baabuu kaun des hai jaanaa ) -2

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image