kalii ek tumase puuchhuu.N baat
- Movie: Saakshi Gopaal
- Singer(s): Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
- Music Director: Chitragupt
- Lyricist: Bharat Vyas
- Actors/Actresses: Madan Puri, Achala Sachdev, Bharat Bhushan, Manju, Ms Nanda
- Year/Decade: 1957, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
ra : kalii ek tumase puuchhuu.N baat ki jab hotii hai aadhii raat
kaun bha.Nvaraa banake chupachaap terii bagiyaa me.n aataa hai
churaa ke teraa man le jaataa hai
la : kalii se kaahe puuchhe baat pyaar me.n hotii hai ye ghaat
nain ke jab chalate hai.n baan baan kaa jaaduu chhaataa hai
bichaaraa khi.nch khi.nch aataa hai
nirday bha.Nvaraa kyo.n ku.njan kii galii galii me.n ghuumataa
kaun bharosaa kare jo phirataa kalii kalii ko chuumataa
ra : parakh karataa bha.Nvaraa din-raat kaun vo kalii jo deve saath
kamalinii se jab milate hai.n nain chain man kaa kho jaataa hai
rain bhar ba.Ndh-ba.Ndh jaataa hai
la : sa.ng nibhe naa kalii hai gorii bha.Nvar kaa kaalaa ra.ng re
ra : kaare badaravaa se puuchho jo rakhe bijuriyaa sa.ng re
madhur gore kaale kaa saath ke jyuu.N milate hai.n din-raat
raat kaarii sa.ng goraa chaa.Nd milan kaa raas rachaataa hai
kalii sa.ng bha.Nvaraa gaataa hai