kaise jiit lete hai.n log dil kisii kaa
- Movie: Saajan Bin Suhaagan
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Usha Khanna
- Lyricist: Indeevar
- Actors/Actresses: Vinod Mehra, Nutan, Padmini Kolhapure, Rajendra Kumar
- Year/Decade: 1978, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
hu.n
kaise jiit lete hai.n log dil kisii kaa -3
ko_ii to sikhaa de hame.n pyaar kaa saliikaa
kaise jiit lete hai.n log dil kisii kaa
koii mahabuubaa hamako chaahe
pyaar ke waade kar ke nibaahe.n
aa.Nkho.n me.n ye Kaab liye ham
saare jahaa.N me.n bhaTakaa kiye ham
haar re dil kii kamanasiibii
hamako dil milaa na kisii ruup kii kalii kaa
kaise jiit lete hai.n log dil kisii kaa -2
ko_ii to sikhaa de hame.n pyaar kaa saliikaa
kaise jiit lete hai.n log dil kisii kaa
hamane na dekhaa zulfo.n kaa saawan
hamane na thaamaa koii daaman
le ke chale koii hamako wahaa.N par
rahate hai.n diladaar jahaa.n par
haar re dil kii kamanasiibii
hamako dil milaa na pataa yaar kii galii kaa
kaise jiit lete hai.n log dil kisii kaa -2
ko_ii to sikhaa de hame.n pyaar kaa saliikaa
kaise jiit lete hai.n log dil kisii kaa