kahii.n pe nigaahe.n kahii.n pe nishaanaa
- Movie: C.I.D.
- Singer(s): Shamshad Begum
- Music Director: O P Nayyar
- Lyricist: Majrooh Sultanpuri
- Actors/Actresses: Waheeda Rehman, Shakeela, Dev Anand
- Year/Decade: 1956, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
kahii.n pe nigaahe.n kahii.n pe nishaanaa -2
jiine do zaalim banaa_o na diiwaanaa
kahii.n pe nigaahe.n kahii.n pe nishaanaa -2
ko_ii na jaane iraade hai.n kidhar ke -2
maar na denaa tiir nazar kaa kisii ke jigar pe -2
naazuk ye dil hai bachaanaa o bachaanaa
kahii.n pe nigaahe.n kahii.n pe nishaanaa -2
taubaa jii taubaa nigaaho.n kaa machalanaa -2
dekh-bhaal ke ai dilawaalo.n pahaluu badalanaa -2
qaafir adaa kii adaa hai mastaanaa
kahii.n pe nigaahe.n kahii.n pe nishaanaa -2
zaKmii hai.n tere jaaye.n to kahaa.N jaaye.n -2
tere tiir ke maare huye dete hai.n sadaaye.n -2
kar do jii ghaayal tumhaaraa hai zamaanaa
kahii.n pe nigaahe.n kahii.n pe nishaanaa -2
aayaa shikaarii o panchhii tuu sambhal jaa -2
dekh jaal hai zulfo.n kaa tuu chupake se nikal jaa -2
u.D jaa o panchhii shikaarii hai diiwaanaa
kahii.n pe nigaahe.n kahii.n pe nishaanaa -2